"Darjeeling ka Aloo Dum: Taste jo dil jeet le!"
Darjeeling ki thandi hawaon mein, aur pahadi galiyon mein agar koi ek street food sabse zyada pasand kiya jata hai, to woh hai Spicy Aloo Dum! Thoda teekha, thoda masaledaar aur pura swad bhara ek garma garam plate aloo dum aur uss k saath mein bhuja muri (puffed rice) ka maza hi kuch aur hota hai! Ye recipe mujhe meri maa se mili hai, jo har festival mein or normal daily basis meh ye banati hai, har ek chhoti ya bade dukaan ho ya phir street pe ya bade bade hotel mein ho har ek milta hai yeh recipe har pahadi ke dil kareeb hoti hai.
Agar aap bhi ghar baithe uss asli taste ka maza lena chahte hain, to aaj ki recipe sirf aapke liye hai, simple ingredients, but full of flavor!
Darjeeling style : Aloo Dum
Ingredients:
Boiled potatoes
6 cloves garlic
Dried red chilies (according to your taste)
Little turmeric powder
Kashmiri laal mirch
Mustard oil
Salt to taste
Kalonji (Nigella seeds)
Chopped coriander leaves (optional)
Recipe :
How to Make It (Step-by-step):
1. Soak and Grind:
Sukhi lal mirch ko thoda pani mein bhigo do aur fir uska ek fine paste bana lo. Saath mein 6 garlic cloves bhi grind karo.
2. Boil Potatoes:
Aloo ko peel karke boil kar lo. Chaho toh thoda crush bhi kar sakte ho taaki masala achhe se chipke.
3. Heat the Oil:
Ek pan mein mustard oil garam karo. Jab thoda smoke aane lage, to kalonji daal do.
4. Add Paste & Spices:
Ab red chilli-garlic paste daalo. Saath mein turmeric, thoda Kashmiri lal mirch powder color k liye aur namak bhi. Medium-low flame pe is paste ko tab tak bhuno jab tak oil separate na ho jaye.
5. Mix the Potatoes:
Boiled potatoes daal ke acche se mix karo taaki masala har aloo pe chipak jaye aur thoda gravy bananey k liye 1\2 cup water add karo ya phir Sukhi kha bana sakte ho
6. Final Touch:
Optional - thoda chopped dhaniya daal ke garnish karo.
Tips & Twist:
Agar aur spicy chahiye toh 1-2 hari mirch bhi add kar sakte ho.
Thoda lemon juice last mein daaloge toh ek tangy twist aayega aur thoda chopped onion dal kar kha sakte hai.
Serve It With:
Is aloo dum ko Momo ke saath, Paratha ke saath, Maggi, Wai Wai, Mimi, Puri, (chapatis) Sel Roti ya sirf chai ke saath bhi enjoy kiya ja sakte hai!
Pahadi Platter Says: Have You Tried This Recipe
Har bite mein milega aapko Darjeeling ka asli swad! Aapko yeh recipe kaisi lagi? Aur kabhi v Darjeeling aaye toh jarur Badi aur Bhola ka dukaan ka aloo dum with bhuja aur chips k saath jarur try kijiye Aur aapke ghar pe ye kaise banatein hai jarur share kijiye! Comment below and share your version of this spicy delight! And don’t forget to follow Pahadi Platter for more such local flavors!
"Aloo Dum is truly a comfort food! The spicy, tangy flavor and soft potatoes make it a perfect dish with roti or puri. This recipe reminded me of our Darjeeling-style aloo dum — full of warmth and local love. Can’t wait to try your version at home!"
ReplyDelete"Thank you so much! So happy to know it reminded you of Darjeeling vibes! Our pahadi-style aloo dum really carries that homely warmth. Do try it and let me know how it turns out! Your support means a lot!"
ReplyDeleteAloo Dum ka taste toh bilkul Jamaal Hota Hai. Spicy aur tangy gravy mein Kooba hua, soft aur flavorful Aloo...ek bear Shaya toh basic aur Charlie! Perfectly paired with roti ya rice....
ReplyDelete